apanii rusavaa_ii tere naam ka charchaa dekhuu


apanii rusavaa_ii tere naam ka charchaa dekhuu.

ek zaraa sher kahuu.N aur mai.n kyaa kyaa dekhuu.


niind aa jaaye to kyaa mahafile.n barpaa dekhuu.

aa.Nkh khul jaaye to tanhaa_ii kaa sahara dekhuu.


shaam bhii ho ga_ii dhundhalaa ga_ii aa.Nkhe.n bhii merii

bhuulanevaale mai.n kab tak teraa rastaa dekhuu.


sab zide.n us kii mai.n puurii karuu.N har baat sunuu.

ek bachche kii tarah se use ha.Nstaa dekhuu.


mujh pe chhaa jaaye vo barasaat kii Khushbuu kii tarah

ang ang apanaa usii rut me.n mahakataa dekhuu.


tuu merii tarah se yaktaa hai magar mere habib

jii me.n aataa hai ko_ii aur bhii tujh saa dekhuu.


mai.n ne jis lamhe ko puujaa hai use bas ek baar

Khvaab ban kar terii aa.Nkho.n me.n utarataa dekhuu.


tuu meraa kuchh nahii.n lagataa hai magar jaan-e-hayaat

jaane kyo.n tere liye dil ko dha.Dakataa dekhuu.


» Read More...

Aanchal Jo Sarakta Dekha


ukh-e-Shabab Sy
Aanchal Jo Sarakta Dekha

Chaand Aakhash k
Jhurmat Sy Nikalty Dekha

Mujh Ko Mehsoos Hua
Dard-e-Judai Kia Hy

Main Ny Ek Phool Ko
Tehni Sy Bikharty Dekha

Zindagi Kia Hy Mere
Dost Tu Mujh Sy Pooch

MainNy Gulshan Ko
Baharo’n main Ujarty Dekha

» Read More...

Aao udaas raton main


Aao udaas raton main
Dil ki basti mai a k dekho
Har ek rasta har ek daricha
Tumhari chahat ka muntazir hai
Falak say takta hai chand tum ko
Sitaray tum ko bula rahey hain
Tumhari aamad k muntazir hain
Mujhy yaqin hai tumharey dil mai
Gaye dino k khayal hain kuch
Naye safar k malal hain kuch
Nayi ruton k sawaal hain kuch
Agar ye such hai to meri mano
Purany raston pe loat aao
Purani basti mai koi ab tak
Tumhari aamad ka muntazir hai

» Read More...

Archives