apanii rusavaa_ii tere naam ka charchaa dekhuu.
ek zaraa sher kahuu.N aur mai.n kyaa kyaa dekhuu.
niind aa jaaye to kyaa mahafile.n barpaa dekhuu.
aa.Nkh khul jaaye to tanhaa_ii kaa sahara dekhuu.
shaam bhii ho ga_ii dhundhalaa ga_ii aa.Nkhe.n bhii merii
bhuulanevaale mai.n kab tak teraa rastaa dekhuu.
sab zide.n us kii mai.n puurii karuu.N har baat sunuu.
ek bachche kii tarah se use ha.Nstaa dekhuu.
mujh pe chhaa jaaye vo barasaat kii Khushbuu kii tarah
ang ang apanaa usii rut me.n mahakataa dekhuu.
tuu merii tarah se yaktaa hai magar mere habib
jii me.n aataa hai ko_ii aur bhii tujh saa dekhuu.
mai.n ne jis lamhe ko puujaa hai use bas ek baar
Khvaab ban kar terii aa.Nkho.n me.n utarataa dekhuu.
tuu meraa kuchh nahii.n lagataa hai magar jaan-e-hayaat
jaane kyo.n tere liye dil ko dha.Dakataa dekhuu.
» Read More...
ukh-e-Shabab Sy
Aanchal Jo Sarakta Dekha
Chaand Aakhash k
Jhurmat Sy Nikalty Dekha
Mujh Ko Mehsoos Hua
Dard-e-Judai Kia Hy
Main Ny Ek Phool Ko
Tehni Sy Bikharty Dekha
Zindagi Kia Hy Mere
Dost Tu Mujh Sy Pooch
MainNy Gulshan Ko
Baharo’n main Ujarty Dekha
» Read More...
Aao udaas raton main
Dil ki basti mai a k dekho
Har ek rasta har ek daricha
Tumhari chahat ka muntazir hai
Falak say takta hai chand tum ko
Sitaray tum ko bula rahey hain
Tumhari aamad k muntazir hain
Mujhy yaqin hai tumharey dil mai
Gaye dino k khayal hain kuch
Naye safar k malal hain kuch
Nayi ruton k sawaal hain kuch
Agar ye such hai to meri mano
Purany raston pe loat aao
Purani basti mai koi ab tak
Tumhari aamad ka muntazir hai
» Read More...
Aaj dulhan ke laal jode mein use uski sakhiyon ne sajaya hoga,
Meri Jaan ke gore haathon pe mehndi ko lagaya hoga.
Bahot gehra chadha hoga mehndi ka rang, Us mehndi mein usne mera naam chupaya hoga.
Reh-reh ke ro padi hogi, jab usko mera khayaal aaya hoga.
Khud ko dekha hoga jab aaine mein, to aqs mera bhi nazar aaya hoga.
Bahut pyari lag rahi hogi vo, Aaj dekh kar usko chand bi sharmaya hoga.
Aaj meri jaan ne apne Maa Baap ki izzat ko bachaya hoga, Usne Beti hone ka har farz nibhaya hoga..
Majbur hogi wo sabse zyada, Sochta hun kis tarah usne khud ko samjhaya hoga.
Apne haathon se hamare khaton ko jalaya hoga, Khud ko mazbut bana kar meri yaadon ko mitaya hoga.
Bhukhi hogi wo jaanta hun main, Mere bina usne kuch na khaya hoga.
Kaise sambhala hoga khud ko, Jab usne feron mein khud ko jalaya hoga...
» Read More...
Main Tum Ko Chahta Hoon
Junoon Ki Dehshat Main
Jaan Se Ghuzar Jane Ki Had Tak
Main Tum Ko Janta Hoon
Rooh K Bay Unt Saagar Main
Utar Jane Ki Had Tak
Main Tum Ko Poojta Hoon
Mohabbat Ki Haseen Devii Se
Sir Takra K Mar Jane Ki Had Tak
Main Tum Ko Souchta Hoon
Kabhi Duniya Kabhi Khud Se
Magar Jane Ki Had Tak
Main Tum Ko Dekhta Hoon
Faseel Dard Par Rakhay
Mehaktey Khuab Ki Khushboo
Bikhar Jane Ki Had Tak
Yakin Janoo K Main Ye Jurm
Ek Pal Main Hazaroon Baar Karta Hoon
Tumhain Maloom Hota Kaash
K
Main Tum Se Kitna Pyaar Karta Hoon
» Read More...
Itna Khali to Ghar Nahi, Hum Hain...
Hum Nahi Hain Magar Nahi, Hum Hain...
Chashm-E-Dushman K Khauf Se Poocho...
...
Nok-E-Neza Pe Sar Nahi, Hum Hain...
Shaam-E-Tanhayi Gham Na Kr K Tera...
Koi Bhi Humsafar Nahi, Hum Hain...
Chaand Se Keh Do Bay-Dharak Utre...
Ghar Mein Diwar-O-Dar Nahi, Hum Hain...
Wo Jo Sab Se Hai Bay-Khabr, Tum Ho...
Jin Ko Apni Khabr Nahi, Hum Hain...
Kyun Jalaate Ho Jhonpari Apni...?
Iss Mein Laal-O-Guhar Nahi, Hum Hain...
Hum Hain Humzaad Raat Mohsin
Jin Ki Qismat Sehar Nahi, Hum Hain
» Read More...
Ye Zindagi Tere Saath Ho
Ye Arzoo Din Raat Ho
Main Tere Sang Sang Chalon
Tu Har Safar Mein Mere Sath Ho
Main Kanton Par Bhi Chal Paron
Tere Pyar Ki Jab Barsat Ho
Kabhi Sham Dhalay Jab Hum Milain
Na Din Dhalay Na Raat Ho
Ye Zindagi Tere Sath Ho… !
» Read More...
Mohabat Khas Logon K Liyeh
Ek Khas Tofa Hai
Agar Yeh Gul Ki Surat Hai
To Narmahat Kali Ki Hai
Hy Chanda Ki Jhalak Es Main
Sitaron Ki Chamak B Hai
Kabi Suraj Ki Ghermi Si
Mohabat Khas Logon K Liyeh
Ek Khas Tofa Hai
» Read More...
Aey Kaash Woh Raat Jaldi Se Aye
Jab woh apni ungliyon se merey baalon ko sehlaye
Mein dheere dheere juda karun libaas us ke jism se
Aur woh madhoshi mein mujhse lipat jaye
Mein choomun uske jism ko kuch is tarhan
K bekhudi mein uski aah nikal jaye
Merey jaltay hont jab milen uske honton se
Merey dehekte jism mein halchal si mach jaye
Main usay raat bhar itna pyar karun
K uske jism ka aik aik ang jhoom jaye…
“Aey Kaash Woh Raat Jaldi Se Aye”
» Read More...
Mujh Se Mat Pooch K Q Aankh Jhuka Li Main ne
Teri Tasveer Thi Tujh Se Hi Chupa Li Main ne,
Jis Pe Likha Tha K Tu Mere Muqaddar Me Nahi
Apne Haathon ki wo lakeer Hi Mita Li Main ne,
Ghere Rehti Hai Mujhko Ek Anokhi khushbu
Teri Yaadon Se Har Ek Saans Sajaa Li Main ne,
Jis K Sheron ko woh Sun K Bohot Royee Thi
Bas Wohi Ek Gazal Sab Se Chupaa Li Main ne.
» Read More...
Mere Sathi
Meri Yeh Rooh Mere Jism Se Parwaaz Kar Ja'ay
To Laut Aana
Meri Be'Khuwab Raaton K Azaabon Par
Sisatkay Shehr Ma!n Tum Bhi
Zara Si Da!r Ko Rukna
Mere Be'Noor Honton Ki Dua'on Par
Tum Apni Sard Paishani Ka Pathar
Rakh Kar Ro Dena
Mujhe Bas Itna Keh Dena
' Mujhe Tum Se Muhabbat Hai ' ..!!
» Read More...
Koi yad bhi usko yad nahi
koi bat bhi usko yad nahi
Ek shakhs ne usko chaha tha
wo zat be usko yad nahi
Jab shab ki bejli chamki the
Jab badal toot kar barsa thaa
Hum dono jis main behge the
wo barsat be usko yad nahi
Wo kehta tha main sunta hoon
wo kehta tha main sunta hoon
un lahkon baton main se
koi bat be usko yad nahi
wo sahil dareya, phol, hawa
wo shab bhar chand ko dekha kerna
un sari raton main se
koi Rat be usko yad nahi
koi yad bhi usko yad nahi
koi bat bhi usko yad nahi
» Read More...
Na jo thum sake kisi aur se,
Main bujhta aik chiragh hoon,
Mera room room dard dard,
Mere dukh ka sira nahin,
Meri laghzishon main pali barhi,
Koi khoi kahani bhi hai,
To jo sath hai to sukoon naheen,
To jo rooth gia to azab hai,
meri zindagi hai aik goo mago,
mujhae roshni milti naheen
» Read More...
Barde masoom jazbon se
Wo apne shookh haathon per
Wafa ki surkh mehndi se
Usi ka naam likhti hai
Jise wo pyar krti hai
... Mgr wo na samjh larki
Abhi tak ye nahi samjhi
K sapne toot jain to
Bohat barbaad krte hain
Ye ujhlae rang haathon per
Kabhi tehra nahi krte
Mohabbat to haqeeqat hai
Koi sapna nahi hota
Kisi ka naam likhny se
Koi apna nahi hota
» Read More...
Tere Rukhsar Se Barh Kr
Kanwal To Ho Nahi Skta
Muhabbat Ka Koi Name-ul-Bdal To Ho Nahi Skta
Ajab Ek Masla Hy Ishq B
Kya Kijiye Is Ka
K Teri Sard'Mohri Se
Ye Hal To Ho Nahi Skta
Ksi Ki Aankh Se Hum'Sukhan Thi
Or Main Chup Tha
Mera Khamosh Rehna
Be'Mahal To Ho Nahi Skta
Hum Apni Khwahishon Ko
Dil Hi Dil Me Maar Dete Hain
Humary Jesa Koi Khush'Amal To Ho Nahi Skta
Rafaqat Zindagi Bhar Ki
B Na Kafi Hy Ulfat Me
Muhabbat Ka Sila Do'Chaar Phal To Ho Nahi Skta
Mere Kirdar Me Koi Kharabi Ho To Ho Lekin
Mere Emaan Me Koi Khalal
To Ho Nahi Skta
» Read More...
Kahon K Kia Ho Tum….?”
Mere liye meri Duniya ho Tum,
Cho k jo Guzre wo Hawa ho Tum,
Maine jo Mangi wo Dua ho Tum,
Kya maine Mehsos wo Ehsas ho Tum,
Meri Nazar ki Talash ho Tum,
Meri Zindagi ka Qarar ho Tum,
Main ne jo Chaha wo Pyar ho Tum,
Mere Intizar ki Rahat ho Tum,
Mere Dil ki Chahat ho Tum,
Tum ho tu Duniya hai Meri,
Kaise Kahon k Sirf Pyar Nahin,
Meri JAAN ho Tum...
» Read More...