Ab ke saal kuch aisa karna

Ab k saal kuch aisa karna
apne pichlay 12 mah k
dukh sukh ka andaza karna
bichli yaadein taza karna

Saadah sa ik kagaz lé kar
bhoole bishre pal likh lena
apney saarey kal likh lena

Sarey dost ikhattey karna
sari subhain hazir rakhna
sari shaamain paas bulana

aur ellawah in ke dekho
sarey mousam dehaan mein rakhna
ik ik yaad gumaan mein rakhna


phir mohtaat qayaas lagana
gar to khushian barh jati hain
to phir tum ko meri taraf se
aney wala ~SAAL MUBARAK~


aur agar ghum barh jain to
mut bekaar takalluf karna
dekho phir tum aisa karna


"meri khushian tum le lena
mujh ko apney ghum de dena

0 comments:

Post a Comment

Archives