Abhi kuch pul hamarey haath main hain
kon jaane
kon sa lamha hamare haath se phisle, gire
or paoon ki zanjeer ho jaye
abhi yeh din jo lagta hai k hum ik doosry k saath
reh sakte hain pal do pal
najaane kub kahan deewaar bun jaye
abhi do chaar saansain buch rahi hain
yeh to jhaunka hain
kisey maloom kis aahistagi say yoon guzar jayay
k hum daryaoun k do mukhtalif na'aashna goongey kinaaroun par
kharey
ik doosrey ki shakal takney ko taras jayain
meri awaaz teri yaad main zinda hou bus
or main teri tasweer aankhoun main liyey rona chupaoon
shehar waaloun say
abhi kuch pul hamare haath main hain
hum jo chahain gain to kuch kum kum bhi mil lain gain
magar jaane kahan.... ?
kub... ?
kon sa lamha....?

0 comments:
Post a Comment