Kuch bhi to nahi waisa


Kuch bhi to nahi waisa
jaisa tujhe socha tha
jitna tujhe chaha tha
socha tha tere lab per
kuch herf duaoon k
kuch phool wafaoon k
mehkain ge meri khatir
kuch bhi to nahin waisa
jaisa tujhe socha tha
mehsoos yeh hota hai
dukh jheele the jo ab tak
be naam musafat main
likhne ki mohabbat main
perhne ki zaroorat main

be sood riyazat thi
be faiz ibadat thi
jo khawab bhi the dekhe
in jaagti aankhon ne

sab khaam khayali thi
phir bhi tujhay pane ki
dil k kissi goshe main
khawahish to bachali thi

laikin tujhay pa ker bhi
aur khud ko gawa ker bhi

is habs k mausam ki khirki se hawa aai
na phool se khushboo ki koi bhi sada aai

ab neend hai aankhon main
na dil main woh pehli si taza sukhen aarai
na lafaz meray nikle
na herf o mani ki danish meray kaam aai
nadeeda rafaqat main
jitni bhi aziyyat thi
sab meray hi naam aai
kuch bhi to nahi waisa
jaisa tujhe socha tha
jaisa tujhe chaha tha

0 comments:

Post a Comment

Archives