apanii rusavaa_ii tere naam ka charchaa dekhuu


apanii rusavaa_ii tere naam ka charchaa dekhuu.

ek zaraa sher kahuu.N aur mai.n kyaa kyaa dekhuu.


niind aa jaaye to kyaa mahafile.n barpaa dekhuu.

aa.Nkh khul jaaye to tanhaa_ii kaa sahara dekhuu.


shaam bhii ho ga_ii dhundhalaa ga_ii aa.Nkhe.n bhii merii

bhuulanevaale mai.n kab tak teraa rastaa dekhuu.


sab zide.n us kii mai.n puurii karuu.N har baat sunuu.

ek bachche kii tarah se use ha.Nstaa dekhuu.


mujh pe chhaa jaaye vo barasaat kii Khushbuu kii tarah

ang ang apanaa usii rut me.n mahakataa dekhuu.


tuu merii tarah se yaktaa hai magar mere habib

jii me.n aataa hai ko_ii aur bhii tujh saa dekhuu.


mai.n ne jis lamhe ko puujaa hai use bas ek baar

Khvaab ban kar terii aa.Nkho.n me.n utarataa dekhuu.


tuu meraa kuchh nahii.n lagataa hai magar jaan-e-hayaat

jaane kyo.n tere liye dil ko dha.Dakataa dekhuu.


» Read More...

Kya Bat Hai Jis Ka Gham Bohat Hai ?


Kya Bat Hai Jis Ka Gham Bohat Hai ?
Kuch Din Se Yeh Aankh Num Bohat Hai

Mil Leta Hai Guftugu Ki Had Tak
Itna Hee Tera Karam Bohat Hai

Ghar Aap Hi Jagmaga Uthe Ga
Dehleez Pe Ik Qadam Bohat Hai

Mil Jaye Agar Teri Rafaqat
Mujh Ko Tou Yehi Janam Bohat Hai

Kya Shab Se Humein Sawaal Karna ?
Hona Tera Subha Dam Bohat Hai

Kyon Bujhne Lage Chiraagh Mere ?
Ab Ke To Hawa Bhi Kam Bohat Hai

Chup Kyon Tujhe Lag Gayi Hai Parveen ?
Sunte They Ke Tujh Mein Ram Bohat Hai

» Read More...

Aqs Khushbu Hun, Bikharne Se Na Roke Koi


Aqs Khushbu Hun, Bikharne Se Na Roke Koi
Aur Bikhar Jaon Tou Mujhko Na Samaite Koi

Kaanp Uthti Hun Mein Ye Soch Ke Tanhaayi Mein
Mere Chehre Pe Tera Naam Na Parh Le Koi

Jis Tarah Khwaab Mere Hogaye Raiza Raiza
Is Tarah Se Na Kabhi Toot Ke Bikhray Koi

Mein Tou Is Din Se Hiraasaan Hun Ke Jab Hukm Milay
Khushk Phoolon Ko Kitaabon Mein Na Rakhay Koi

Ab Tou Os Raah Se Wo Shaks Guzarta Bhee Nahee
Ab Kis Umeed Pe Darwaazay Se Jhaankay Koi?

Koi Aahat, Koi Aawaaz, Koi Chaap Nahee
Dil Ki Galyaan Bardi Sunsaan Hain, Aaye Koi.

» Read More...

Usi Din Ghar Nahi Aata Ke Jab Aane Ko Kehta Hai


Usi Din Ghar Nahin Aata Ke Jab Aane Ko Kehta Hai,
Magar Kya Roothna Usse Wo Apni Dhun Mein Rehta Hai,

Madaarat-E-Alam Mein Wo Nahin Shirkat Ka Kaail,
Na Apne Dukh Batata Hai Na Mere Ranj Sehta Hai,

Lab-E-Khamoosh, Chashm-E-Khushk Kya Samjhayenge Tujhko ?
Jo Barish Dil Mein Hoti Hai Jo Dariya Dil Mein Behta Hai,

Mujhe Tujhse Juda Rakhta Hai Aur Dukh Tak Nahi Hota,
Mere Andar Tere Jaisa Ye Aakhir Kaun Rehta Hai ?

Khayal-E-Yaar Abhi Roshan, Abhi Nazron Se Ojhal Hai,
Abhi Ye Raishmee.n Dariya Pahadon Mein Hi Behta Hai…!

» Read More...

Archives