Itna Khali to Ghar Nahi, Hum Hain


Itna Khali to Ghar Nahi, Hum Hain...

Hum Nahi Hain Magar Nahi, Hum Hain...

Chashm-E-Dushman K Khauf Se Poocho...
...
Nok-E-Neza Pe Sar Nahi, Hum Hain...

Shaam-E-Tanhayi Gham Na Kr K Tera...

Koi Bhi Humsafar Nahi, Hum Hain...

Chaand Se Keh Do Bay-Dharak Utre...

Ghar Mein Diwar-O-Dar Nahi, Hum Hain...

Wo Jo Sab Se Hai Bay-Khabr, Tum Ho...

Jin Ko Apni Khabr Nahi, Hum Hain...

Kyun Jalaate Ho Jhonpari Apni...?

Iss Mein Laal-O-Guhar Nahi, Hum Hain...

Hum Hain Humzaad Raat Mohsin

Jin Ki Qismat Sehar Nahi, Hum Hain

» Read More...

Koi yad bhi usko yad nahi



Koi yad bhi usko yad nahi

koi bat bhi usko yad nahi


Ek shakhs ne usko chaha tha

wo zat be usko yad nahi


Jab shab ki bejli chamki the

Jab badal toot kar barsa thaa


Hum dono jis main behge the

wo barsat be usko yad nahi


Wo kehta tha main sunta hoon

wo kehta tha main sunta hoon


un lahkon baton main se

koi bat be usko yad nahi


wo sahil dareya, phol, hawa

wo shab bhar chand ko dekha kerna


un sari raton main se

koi Rat be usko yad nahi


koi yad bhi usko yad nahi

koi bat bhi usko yad nahi

» Read More...

Barde masoom jazbon se



Barde masoom jazbon se

Wo apne shookh haathon per

Wafa ki surkh mehndi se

Usi ka naam likhti hai

Jise wo pyar krti hai

... Mgr wo na samjh larki

Abhi tak ye nahi samjhi

K sapne toot jain to

Bohat barbaad krte hain

Ye ujhlae rang haathon per

Kabhi tehra nahi krte

Mohabbat to haqeeqat hai

Koi sapna nahi hota

Kisi ka naam likhny se

Koi apna nahi hota

» Read More...

Main Aaya Tha Duniya Main Jab Akela,


Main Aaya Tha Duniya Main Jab Akela,
Mane Puchha Ay Khuda Tune Kya Khel Khela,

Main Tanha Ye Zindagi Kaise Guzarunga,
Wo Bola Tere Liye Ek Hoor Utarunga,

Wo Hai Mera Banaya Hua Ek Karishma,
Us Jaisa Hoga Koi Duniya Mein Kahi Na,

Mene Puchha Ay Khuda Kab Tak Intezar Karu,
Wo Bola Bas Us Mein Jaan Daal Doon

Uske Husn Ko Dekh Ke Farishte Tarsenge,
Us Par Har Din Noor Ke Badal Barsenge,

Khuda Ne Kaha Use Kabhi Door Na Rehna,
Usko Jaan Ke Siva Kuch Aur Na Kehna,

Meine Kaha Tu Bhej De Mere Liye Shehzadi,
Usne Kaha Tere Liye Ek Hoor Bana Di,

Meine Kaha Kaise Main Usko Pehchanunga,
Usne Kaha Usko ……….. Naam Dunga,

Meine Kaha Wo Mujhe Tadpaya To Na Karegi,
To Usne Kaha Haan Wo Tujhe Sataya Karegi,

Meine Kaha Uske Dil Mein Mera Tasavur Daal De,
Usne Kaha Wo Teri Hai Uski Fikar Nikal De,

Mene Pucaha Kya Main Use Apna Bana Sakunga,
Wo Bola Use Pane Ka Ek Bahana Dunga,

Mene Puchha Wo Mujhe Thukrayegi To Nahi,
Wo Bola Teri Yahi Aadat Jayegi Nahi,

Tu Harpal Uski Chahat Par Shak Karega,
Koi Usko Dekhega To Tu Yun Hi Jalega,

Usko Tere Liye Banaya Hai Ye Jaan Le,
Wo Kisi Or Ki Na Hogi Ye Maan Le,

Tab Se Lekar Aaj Tak Mene Intezaar Kiya,
Fir Tumne Apni Chahat Ka Izhaar Kiya,

Fir Tum Aur Main Milne Lage Aksar,
Khuda Ka Shukar Ada Kiya Mene Jhuka Kar Sar,

Meine Kaha Ay Khuda Tera Bahut Shukriya,
Usne Kaha Us Hoor Ko De Sari Khushiyaan,

Mene Kaha Uske Kadmon Mein Khushiyaan Bicha Dunga,
Uski Khushi Ki Khatir Jaan Bhi Loota Dunga,

Ab Tum Mere Khawabo Ki Wahi Hoor Ban Gayi,
Mere Dil Ka Sukoon Meri Aankhon Ka Noor Ban Gayi,

Meri Zindagi Ki Har Ek Sans Tujh Se Hai,
Meri Zindagi Jeene Ka Ehsas Tujh Se Hai,

Har Ghadi Har Lamha Me Tujhe Yaad Karta Hoon,
Tu Khush Rahe Humesha Yahi Fariyad Karta Hoon...

» Read More...

Kuch bhi to nahi waisa


Kuch bhi to nahi waisa
jaisa tujhe socha tha
jitna tujhe chaha tha
socha tha tere lab per
kuch herf duaoon k
kuch phool wafaoon k
mehkain ge meri khatir
kuch bhi to nahin waisa
jaisa tujhe socha tha
mehsoos yeh hota hai
dukh jheele the jo ab tak
be naam musafat main
likhne ki mohabbat main
perhne ki zaroorat main

be sood riyazat thi
be faiz ibadat thi
jo khawab bhi the dekhe
in jaagti aankhon ne

sab khaam khayali thi
phir bhi tujhay pane ki
dil k kissi goshe main
khawahish to bachali thi

laikin tujhay pa ker bhi
aur khud ko gawa ker bhi

is habs k mausam ki khirki se hawa aai
na phool se khushboo ki koi bhi sada aai

ab neend hai aankhon main
na dil main woh pehli si taza sukhen aarai
na lafaz meray nikle
na herf o mani ki danish meray kaam aai
nadeeda rafaqat main
jitni bhi aziyyat thi
sab meray hi naam aai
kuch bhi to nahi waisa
jaisa tujhe socha tha
jaisa tujhe chaha tha

» Read More...

Mohabbat Mar Dale Gi





Tumhara Ghar Sanwarey Gi
Tumhen Younhi Neharey Gi
 

Tumhen Apna Bana Ley Gi
Tumhen Shayed Yeh Lagta Hai
 
Mohabbat Rab Ki Soorat Hai
Tumhen Dhukh Se Nikale Gi
 
Tumharey Dard Samjhe Gi
Tumharey Ghum Sambhale Gi
 
Mujhe Maloom Hai Itna
Mohabbat Shab Ki Soorat Hai
 
Ujaloon Ko Yeh Kha Ley Gi
Mohabbat Mar Deti Hai
 
Mohabbat Mar Dale Gi

» Read More...

Kal rat janay kia huw

    Kal rat janay kia huwa    

Kuch dair pehlay neend se

    Kuch ashk milnay aa gaey

    Kuch khawb jo tooty hue

    Kuch log jo bhoolay hue

    Kuch rasta bhtakti hui

    Kuch gurd mein lipti hui

    Kuch betrah pheli hui

    Kuch khowl mai simti hui

    BeRabt si sochain kae

    Bhooli hui baten kae

    Ik shakhs ki yadien kae

    Phir dair tk jaga raha

    Sochon mai gum betha raha

    Ungli se thanday farsh per

    Ik naam bus likhta raha

    Kal raat phir wo raat thi

    Kuch dair pehle neend se

    Mai dair tuk rota raha

    Kuch dair pehle neend se

    Mai dair tuk rota raha

    ­­­­­­­­­­­­­­­­­­Mai dair tuk rota raha


» Read More...

Aankhon main raha dil mein utar kar nahin dekha


Aankhon main raha dil mein utar kar nahin dekha
Kashti ke musafir ne samandar nahi dekha !!

Be waqt agar jaun ga sab chaunk paren ge
ik umar hui kabhi din mein ghar nahi dekha

Jis din se chala hun meri manzil pe nazar hai
aankhon ne kabhi meel ka pathar nahin dekha

yaaron ki mohabbat ka yaqeen kar lia main ne
phoolon mein chupaya huwa khanjar nahin dekha

mehboob ka ghar ho keh buzurgon ki zameeneN
jo chor dia phir usse mur kar nahin dekha

Pathar mujha kehta hai mera chahne wala
Main mom hun us ne mujhe chu kar nahi dekha

Wo mere masaail ko samajh hi nahi sakta
jis ne meri aankh mein samandar nahin dekha...

» Read More...

Mohabbat Chupao ga kaisae


» Read More...

Aajab Hatal The Mere

» Read More...

Haq MEri MOhabbat Ka Ada Kiy0n


Haq MEri MOhabbat Ka Ada Kiy0n Nhi KartE,

Tum Dard T0 DEtE H0 Dawa Kiy0n Nhi KartE
Kiy0n BEthE H0 Kham0sh Si Raah ME MErE AaGE,

Na R0 MErE MarnE Ki Dua Kiy0n Nhi KartE
Tum Dard T0 DEtE H0 Dawa Kiy0n Nhi KartE.

Ph00l0n Ki Tarha JiSm Hai Pathar Ki Ti Tarah,
DiL MErE HasEEn L0G Wafa Kiy0n Nhi KartE.

Tum Dard T0 DEtE H0 Dawa Kiy0n Nhi KartE
Aankh00n Ki AdaaLat SE Bari Kar T0 Diya Hai

Afs0s MEri Jaan REha Kiy0n Nhi KartE.
Tum Dard T0 DEtE H0 Dawa Kiy0n Nhi KartE

Haq MEri MOhabbat Ka Ada Kiy0n Nhi KartE,
Tum Dard T0 DEtE H0 Dawa Kiy0n Nhi KartE.'

» Read More...

Koi tum se poche kon hoon main

Koi tum se poche kon hoon main,
Tum keh dena koi khaas nahi.

Ek dost hai kaccha pakka sa,
Ek jhooth hai aadha saccha sa.
Zazbaat ko dhake ek parda bas,
Ek bahana hai accha sa.

Jeevan ka ek aisa saathi hai,
Jo door ho ke pass nahin.
Koi tumse pooche kaun hoon main,
Tum keh dena koi khaas nahi.

Hawa ka ek suhana jhonkha hai,
Kabhi najuk toh kabhi tufaano sa.
Sakal dekh kar jo nazrein jhuka le,
Kabhi apna toh kabhi begaano sa.

Zindgi ka ek aisa humsafar,
Jo samandar hai, par dil ko pyaas nahi.
Koi tumse pooche kaun hoon main,
Tum keh dena koi khaas nahi.

Ek saathi jo ankahi kuch baatein keh jaata hai,
Yaadon me jiska ek dhundhla chehra reh jaata hai.
Yuh toh uske na hone ka kuch gam nahin,
Par kabhi-kabhi aankho se ansu ban ke beh jaata hai.

Yuh rehta toh mere tassavur me hai,
Par in aankho ko uski talaash nahi.
Koi tumse pooche kaun hoon main,
Tum keh dena koi khaas nahin……..

» Read More...

Mout Ka Aitbaar Kar Laitay ?


Mout Ka Aitbaar Kar Laitey ?
Do Ghari Intezaar Kar Laitey ?

Dard Mun Phair Kar Nahi Jaata
Dard Hee Ikhtiyaar Kar Laitey ?

Lout Kar Phir Yehi Howa Hota
Tum Kisi Se Bhi Pyaar Kar Laitey ?

Ay Mere Dil Kubhi Kubhi Koi
Shaam Hee Khushgawaar Karlaitey ?

Jhoot Ki Nokri Se Behtar Tha
Khud Ko Berozgaar Karlaitey ?

» Read More...

Ab ke saal kuch aisa karna

Ab k saal kuch aisa karna
apne pichlay 12 mah k
dukh sukh ka andaza karna
bichli yaadein taza karna

Saadah sa ik kagaz lé kar
bhoole bishre pal likh lena
apney saarey kal likh lena

Sarey dost ikhattey karna
sari subhain hazir rakhna
sari shaamain paas bulana

aur ellawah in ke dekho
sarey mousam dehaan mein rakhna
ik ik yaad gumaan mein rakhna


phir mohtaat qayaas lagana
gar to khushian barh jati hain
to phir tum ko meri taraf se
aney wala ~SAAL MUBARAK~


aur agar ghum barh jain to
mut bekaar takalluf karna
dekho phir tum aisa karna


"meri khushian tum le lena
mujh ko apney ghum de dena

» Read More...

Archives